Dr. BHUPENDRA SINGH PAWAR
FOR HER
Home | WELCOME TO MY PERSONAL WORLD | MY .C.V.(PROFILE) | My last wishes | MY PICTURES | my family members | my favourite HINDI POEMS | POEMS N GREETINGS | FOR HER | THANKS

Enter subhead content here

separation_3.jpg

Kabhi kabhi
                                    mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko
                                    banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen
                                    pe bulaya gaya hai mere liye
 
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki ye badan ye
                                    nigaahein meri amaanat hain
Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat
                                    hain
 
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan
                                    si raahon mein
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni
                                    baahon mein
 
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe
                                    chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar
                                    yoohin
 
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal
                                    aata hai

Enter supporting content here